Wednesday, February 19, 2020


Vilen song


welcome back guys,  
So today we are going to enjoy vilen's savan song... 





(Ek saavan aaya aise ki dil bhar gaya
Dil bhar gaya seene tak wo aake Tar gaya)
Ek saavan aaya aise ki dil bhar gaya
Dil bhar gaya seene tak wo aake tar gaya
Door kisi ek basti me do, diye jalte the
Do pyar me jaldi lav ko wo, bujha kar gaya.,

bheega di wo armaano ki do palke pyari  pyari,
bheega di wo sapno se bhari lakkad ki almari,
Kahan hai wo payal ki chanchan,
Bulati thi jo mujhko
kahan hai wo rango se bhari,
khushiyon ki pichkari.,

kar gayi kaari akhiyan wo pyari
dhalne ki taiyaari,
chal di dulari karne wo saari
jal dhuein se yaari.,

Parvat ki dariya se thi jo
Bargad ki chidiya se thi jo,
Aawara un yaariyon ko
Judaa kar gaya.,

Aag ki khushbu lane wali
Deewani chingariyon ko,
Haqiqat ke ek jhonke se wo
Dhuna kar gaya..

Ek saavan aaya aise ki dil bhar gaya
Dil bhar gaya seene tak wo aake tar gaya

Maati ki chidiya hoti thi, jis aangan me
Us aangan ki palko pe wo, aansu bhar gaya.,

Kahan hai tu or khilti subah
Wo mere aangan ki,
Sun to zara dekh dard mera
Na kar jaa mann ki.,

Dekh raha hoon sapna bura
Mujhe jagaa to zara,
Mera naam le mere samne aa
Mujhe bula to sahi.,

O re Khuda tere mann me wahan
Aisi thi kya ruswayi,
Pal bhar ki aahat me meri
Duniya hi ujdaa di.,
Hello guys, today our song lyrics depends on 'Ek Raat' song which is singed by vilen
He is very gorgeous man... To enjoys his song understand his lyrics...




Churaya hi kyu jab woh todna hi tha
Dil bhi voh tutta hai jo mere paas nahi,
Dekhaya hi kyu jab muh modna hi tha
Seene mai hawa toh hai par woh saans nahi
Mere paas nahi hai, Koi saath nahi hai
Jo baata de mujhe baat ye khaas nahi,
Dil udaas sahi hai, Koi aas nahi hai
Pal ye aankhon ki nami hai ye barsaat nahi..
Mai bhi na jaane kaha kho gaya tha
Zindagi bhi mujhse khafa ho gayi
Jiss din ki ye sihril ne khud se mohobobbat
Toh zindagi bhi mujhpe fidaa ho gayi,
Mere paas nahi hai, Koi saath nahi hai
Horaha hai ab kisika intezaar kahi
Tere baare mai sochun aisi raat nahi hai
Par tu tode dil mera teri aukaat nahi,
Ankhon mai dhua tha maine dekha bhi nahi
Khushi bhi chahi thi khade dabi ye hansi
Dil bhi bola sun baaware ankhiyon ke dusman
Na mai kabhi tutta tha na mai khoya tha kahi,
Tere paas yahi hu, Ye Awaaz mai hi hu
Yeh kahani teri meri hai zamane ki nahi
Mai dhadakta rahu tu bhi yun hasta rahe
Duniya jaye sali bhad mai koi parvah hi nahi



I mostly like this song also you all tell me about this song..... 

 Vilen song welcome back guys,   So today we are going to enjoy vilen's savan song...  (Ek saavan aaya ais...